Monday, January 31, 2011


DATESHEET aa gyi h,tyari shuru krdo
7Feb-Rose Dy
8Fb-Propose Dy
9Fb-Chochlte Dy
10Fb-Teddy Dy
11Fb-PromiseDy
12Fb-Hug Dy
13Fb-Kiss Dy
14Fb-Valentine's
Gud luck

DATESHEET aa gyi h,tyari shuru krdo
7Feb-Rose Dy
8Fb-Propose Dy
9Fb-Chochlte Dy
10Fb-Teddy Dy
11Fb-PromiseDy
12Fb-Hug Dy
13Fb-Kiss Dy
14Fb-Valentine's
Gud luck

Friday, January 28, 2011

Graahak Ke Pairon Ke Niche Ki,
Mitti Sone Ki Bani Hoti Hai.
Bade Naseeb Waale Hote Hain Wo,
Jinko Ye Muyassir Hoti Hai.
Humdard Nigaho’n Se Ager Humko Nihara Naa Hota,
Lubo’n Pe Aapke Ger Naam Humara Naa Hota.
Doob Gaye Hote Us Roz Hi Hum,
Kinaro’n Se Ager Aapne Pukara Na Hota.
Raste Mein Kaun Mila, Ye Poochna Shauq Se,
Kis Kis Ka Saath Chhoot Gaya, Ye Na Poochna,
Kya Humne Zindagi Ko Dia Sab Ko Hai Khabar,
Kya Zindagi Ne Humko Dia Ye Na Poochna.
Ye Patange Kabhi Chaand Pe Jaane,
Ki Soch Bhi Nahin Sakte Hain.
Dhoondh Lete Hain Nazdeek Mein Ek Shama,
Wahin Jaan De Dete Hain.
Waqt Kyun Meri Wafao Ko Bhula Deta Hai ..
Bus Isi Baat Ka Ehsas Rula Deta Hai…
Maine Chand Or Sitaro Ki Tamanna Ki,
Mujhe Raaton Ki Siyahi Ke Siwa Kuch Na Mila
Ban Gaii Shola Jo Seene Mein Dabi Chingari Thi,
‘Yun Maan Liya Apna’ Jaise Sachmuch Wo Humari.
Jub Dil Tod Ke Mera Hansne Lagee Tab Ehasas Hua,
Ishq Nahin Ye To Khud Se Hi Gaddari Thi.
Yaad To Bahut Kiya Maine Use,
Magar Un Wadoon K Sath…
Gar Mil Gaye Raaho Mai Kahi…
To Ajnabi Banke Guzar Jana Hai Hame…
Qissa Koi Jaise Purana Ho Gaya Hoon,
Guzra Hua Jaise Zamana Ho Gaya Hoon.
Dost Bhi Kar Lete Hain Ab Door Se Hi Salam,
Apna Nahin Jaise Begana Ho Gaya Hoon.
Zindagi Ko Lamhoo Ka Mohtaaz Naa Banaa,
Teri Zindagi Ke Hansi Pal Aanay Baaki Hai,
Gar Kyaa Huaa Tunay Aaj Tak Khusiyaa Naa Dekhi Ho,
Tujhay Teri Achaiyon Ka Silaa Milnaa Abhi Baaki Ha.
Is Duniya Mein Aise Bhi Bohat Hai,
Jinke Cheharo Pe Chehare Bohat Hai,
Meri Lash Par Rone Walo Ki To Kami Nahi,
Magar Un Rone Walo Mein, Mere Katil Bhi Bohat Hai.
Meri Kashti Mera Kinara Kahate Hain Tumhe,
Meri Qismat Ka Sab Sitara Kahate Hain Tumhe.
Lakh Kahata Hoon Ki Koi Nahin Mera,
Log Hain Ki Humara Kahate Hain Tumhe.

Sunday, January 16, 2011

Gamon Se Dosti Rahi,
Tanhaaiyon Se Karaabat Rahi Apni.
Zakhm Dena Unki Fitrat Rahi,
Muskurana Bhi Aadat Rahi Apni.
Kisi Ke Pyaar Mein Gehri Chot Khayi Hai,
Wafa Se Pahle Bewafai Payi Hai,
Log Mangte Hai Duwa Is Haal Mein Marne Ki Magar,
Humne Unke Khwabo Me Jine Ki Kasam Khayi Hai.
Kasur Na Unka Hai Na Mera,
Hum Donohi Rishton Ki Rasmein Nibhate Rahe,
Wo Dosti Ka Ehsaas Jatate Rahe,
Hum Muhabbat Ko Dil Mein Chupate Rahe.
Duniya Jahan Ki Khabren Hain,
Bas Khud Hi Ki Koe Khabar Nahin.
Ham Aas Lagayen Baithen Hain.
Pata Nahin Ve Aayenge Ya Nahin.
Dil Hi Dil Me Tujhe Pyar Kiya Karte Hai,
Chup Chap Mohbaat Ka Izhaar Kiyan Karte Hai,
Muskil Hai Tera In Rahon Se Guzar Jana,
Fir Bhi Tera Intazaar Kiya Karte Hai.
Zindgi Ne Ek Badda Mazak Kiya Hain Mujse,
Aasman Per Lakar Uper Se Giraya Hain Mujhe,
Hosla Rakhata Tha Jo Mein Aasmaan Ko Chhune Ka,
Meikhano Se Uthakar Ab Ghar Chhod Jate Hain Log Mujhe,
Mein Khud Nahi Bigara Hoon, Baiyon (Brothers) Ne Bigara Hai Mujhe.
Sab Kehte Hain Ke Mohabbat Ki Nahi Ho Jatti Hai,
Mohabbat Bewafaa Ko Bhi Wafaa Sikha Deti Hai,
Anjaan The Duniya Ke Riwazon Se Hum,
Jante Nahi The Ke Duniya Deewane Ko Bhi Pagal Kehti Hai.
Nazar Hi Nazar Mein Nazar Ko Nazar Ka Dhoka Ho Gaya.
Main Use Apna Samjhi Vo Kisi Aur Ka Ho Gaya.
Tu Meri Na Ho Saki, Main Tera Na Ho Saka,
Tere Shaher Mein Kuchh Bhi Mera Na Ho Saka.
Khushi Bhi Aai To Mehman Banker,
Naata Bhi Gamon Se Gehara Na Ho Saka.
Aaj Raat Wo Kahaniyan Yaad Aati Hai,
Din Ho Ya Raat Khawab Tumhari Aati Hai,
Khade Hain Pathar Bankar Ussi Mod Par,
Jahan Choda Tha Kehkar Rukna Hum Aate Hai.
Har Ashiqi Ka Matlab Gum Nahi Hota,
Duriyan Badhane Se Pyar Kam Nahi Hota,
Waqt Be Waqt Aajate Hai Ankhon Mein Aansu,
Kyonki Yaadon Ka Koi Mausam Nahi Hota.
‘My Beloved Gave Me Limitless (Love), And I
Gathered To The Best Of The Limits, That I Could Hold:
As If, I’ve Lived My Whole Life, Just In A Moment!
(And), Still I’m Living That Moment, A Hundred Times:
To Which, Beloved! I’ve Dedicated, Whole My Life!’
Jo Na Samjhe Kimat Aansu Ki To Pani Hai,
Samajhne Wale Ke Liye To Ye Anmol Moti Hai,
Jo Mil Jaye Dildar To Khusi Me Roti Hai,
Agar Na Mile To Jindgi Bhar Roti Hai.
Dekhta Hai Pyar Se Phir Khafa Hota Hai,
Naaraaz Wo Humse Bewaza Hota Hai.
Bada Bhola Bada Naadaan Hai Mera Dilber,
Jalta Hai Mera Dil Wo Deewali Mana Leta Hai.
Zazbaat Ka Dariya Josh Ka Paani Na Rahe,
Ki Teri Meri Ye Kahaani Na Rahe.
Kyun Na Ziya Jaaye Aaj Ko Hanskar,
Kal Shaayad Ye Zindgaani Na Rahe.
Do Din Ki Muhabbat Mein Logon,
Uss Yaad Ka Aana Kya Kahiye,
Hum Khud Ko Bhulaye Baithe Hain,
Ab Duniya Bhulana Kya Kahiye.
Jo Pyaar Ke Riste Hum Banate Hai,
Logon Se Unhe Kyon Chhupate Hai,
Hota Hai Agar “Gunah” Pyar Karna,
To Bachpan Se Hame Pyaar Karna Kyon Sikhate Hai…
Except Me & Including God,
No Body In This World That Happiest On Ur Happiness,
Saddest On Ur Sadness & Cry Enough If A Drop Of Tear Come Frm Ur Eyes…!
Teri Palkon Mein Kabhi Na Aansu Aye,
Yahi Duwa Hai Rab Se Meri,
Tere Chahre Se Kabhi Muskan Na Jaye,
Yahi Duwa Hai Rab Se Meri,
Teri Zindagi Me Aye Hum,
Yahi Duwa Hai Rab Se Meri.
Sooraj Ne Etna Nahin Tapaaya,
Jitna Chandni Ne Jalaaya Hai.
Auron Ne Etne Ghum Nahin Diye,
Jis Kadar Apnon Ne Rulaaya Hai.
Insaan Ko Chaahiye Ki Gardish Mein,
Bhi Honslon Mein Kami Na Ho.
Gard Pahachaan Nahin Hoti Chahe,
Zameen Pe Ho Ya Falak Pe Ho.
Har Shaks Ki Ankhon Main Kuch Khawab Hote Hai,
Kuch Adhure To Kuch Poore Hote Hai,
Milti Hai Unhi Khwabon Ko Apne Raah Ki Manzil,
Jin Khwabon Ke Liye Dil Main Jazbaat Hote Hai.
Apne Dil Ki Ek Kasti Banayege,
Aasuo’n Ke Sager Me Ise Chalayenge,
Kahi Rah Na Jaye Safer Adhura Tujhe Pane Ko,
Isliye Hamesa Aansu Bahayenge.
Basa Hai Dil Mein Wo Khushi Ki Tarah,
Shaayad Hai Wo Zindagi Ki Tarah.
Mager Kitane Badnaseeb Hain Hum,
Milte Bhi Hain To Ajanabi Ki Tarah.
Aaj Bikhri Huii Zulfon Ka Nazaara Dekha,
Chaand Mohalle Mein Dobaara Dekha.
Hans Raha Tha Wo Jaane Kya Dekhkar,
Humne To Sirf Uska Chehara Dekha.
Hamse Kya Khta Hui Jo Tune Hame Bhula Diya,
Tod Diya Dil Mera Or Labon Ko Sukha Chood Diya,
Hum Chahte To Hum Bhi Tumhara Dil Tod Dete,
Lekin Ye Bewfa Humne Tumeh Phir Bhi Apna Samjh Ke Chood Diya.
Pucha Kisi Ne Haal Badi Muddaton Ke Baad,
Aaya Mera Khyal Badi Muddaton Ke Baad,
Chahta To Hai Wo Mujhe Chahat Se Magar,
Hota Hai Ye Kamal Badi Muddaton Ke Baad.
Dard Deke Khushiya Manate Hai Woh,
Ankhon Mein Ansu Deke Muskurate Hai Woh,
Hume To Chod Diya Kato Ke Daman Mein,
Khud Gulhistan Me Rahte Hai Woh.
Maine Sapno Ko Dur Hote Dekha Hai,
Jo Mila Nahi Usey Khote Dekha Hai,
Log Kahte Hai Phool Sada Muskurate Hai,
Maine Akele Me Phoolo Ko V Rote Dekha Hai.
Jab Se Tere Hothon Ki Lali Mere Hothon Ko Chhoon Gayi.
Tujhe Pane Ka Dard Aur Bhi Barh Gaya.
Ab To Chain Nahi Hai Ratoon Mein
Aur Din Mein Bhi Udasi Si Chhayi Hai.
Har Waqt – Ae Sanam, Hum Teri Chahat Mein Khoye Hai.
Fuloon Ne Saajish Ki Thi Mere Dil Ko Jalane Ki,
Leheron Ne Bhi Saajish Ki Thi, Meri Kasti Ko Dubone Ki,
Aur Aaj Barish Ne Saajish Ki Hai. Mere Gam Ko Aur-Bhi Barhane Ki.

Saturday, January 15, 2011

Yahan Tak Sab Kuchh Theek Thha,
Jab Tak Mera Dil Mere Kareeb Thha.
Bahalaane Ko Le Gaye Thhe Wo,
Bahakaa Diya, Ye Mera Naseeb Thha.
Chahat Teri Pehchan Hai Meri,
Mahobbat Teri Shaan Hai Meri,
Hoke Juda Tujse Kya Reh Paunga,
Tu To Aakhir Jaan Hai Meri.
Yahan Tak Sab Kuchh Theek Thha,
Jab Tak Mera Dil Mere Kareeb Thha.
Bahalaane Ko Le Gaye Thhe Wo,
Bahakaa Diya, Ye Mera Naseeb Thha.
Wo Kehte Hai Aisa Koi Kisi Ke Liye Nahi Marta,
Chhotlakar Dikhayenge Unki Ye Baat Hum,
Marte-Marte Kar Jayenge Kuchh Aisa,
Jo Koi Kisi Ke Liye Nahi Karta.
Ashkon Mein Dube Zazbaat Kya Kahu,
Jab Mar Chuka To Jine Ki Halat Kya Kahu,
Dar Dar Bhatak Raha Tha Jholi Pasarta,
Na Mili Duaein Bhi To Sadkat Kya Kahu.
Dil Ki Mahfil Tere Qabil,
Jab Nahi Thi Mere Yaar,
Dil Liya .. Tod Diya ..
Kitna Khudgarz Tera Pyaar….
Tum Karte Wo Ho Jo Tum Chahte Ho,
Or Hota Wo Hai Jo Main Chahta Hun!
Tum Karo Wo Jo Main Chahta Hun,
Fir Hoga Wo Jo Tum Chahte Ho!!
Ek Pal Mein Ye Kya Kia Maine,
Tumse Mohabat Ki Aur Apna Bana Liya Maine,
Bhale Tum Sath Na Do Aaj Meri Wafaoon Ka Mujhe,
Bss Umeed Se Khud Ko Jala Rakkha Hai Maine.
Pyaar To Pyaar Hai, Pyaar Ko Hum Pyaar Karein,
Dil To Dil Hai, Jisko Hum Bekarar Karein,
Mohabbat To Faqt Ek Arzoo Hai Tumhe Pane Ki,
Aap To Aap Hai Jis Par Jaan Nisar Hum Karein.
Tumhe Fursat Ho To Humein Yaad Karna,
Hum Yaad Aay To Ek Faryad Karna,
Khuda Bakshe Thoda Sukun Mujhe,
Aur Main Aas Thi Jin Nigahon Ki,
Oose Hamesha Tum Abad Rakhna.
Zindagi Jaan Se Hoti Hai, Mujhe Maloom Hai,
Khamoshi Zubaan Se Hoti Hai, Mujhe Maloom Hai,
Bewafai Aitbaar Se Hoti Hai, Mujhe Maloom Hai,
Aur Mujhe Maloom Hai Tumhari Majburiyaan,
Jinhe Mehsus Main Karta Hun, Kya Tumhe Maloom Hai.
Log To Ishq Mein Qurban Ho Jate Hai,
Aye Dost Hum To Sirf Pagal Hue Baithe Hai,
Dekha Hai Kya Tumne Wo Taj-E-Mahal,
Jise Log Yaadein Mumtaz Bhi Kehte Hai.
Khata Hai Kya, Bata Aye Mohabat-E-Pakeza,
Main Dundta Hun Wo Akas, Jo Mujhme Kabhi Tha,
Ab Hawayen Gamgin Hai Arzoo-E- Mohabat Meri,
Hai Ashiyana Mera Bikhra, Jo Tumse Kabhi Tha.
Samay Gujarta Raha, Saal Gujarte Rahe,
Hum Tere Khayalon Mein Bekarar Hote Rahe,
Tumne Kiya Tha Waada, Hum Fir Milenge,
Yahi Soch Kar Tera Intzaar Karte Rahe.
Gam-E-Ishq Ne Shayar Humko Bana Diya,
Jo Shakh Se Hum Tute, Zarra Humko Bana Diya,
Mein Phool Hun Wo Tuta, Gulshan Na Jisko Mil Saka,
Par Yaadon Ne Teri Humko, Khusboo Bana Diya
Tum Door Sahi In Nazaroo Ke,
Par Dil K Paas To Tumhi Ho,
Meri Sans Sans Mein Pakeza,
Mere Har Ehsas Mein Tumhi Ho.
Tumne Hans Kar Kya  Pucha Haal-E-Dil Mera,
Main Har Gam Apne Bhula Baitha,
Mera Ishq Junu Deewangi Tum,
Main Har Pal Apne Gawan Baitha.
Koi Khawab Sa Wo Meri Zindagi Mein Aaya,
Saj Kar Sanwar Kar Mujhe Behlaya,
Kuch Der Khush Tha Main Ay Zindagi Meri,
Tuta Khawab Jo Samjh Mein Aaya,
Pyar Karna Thi Dil Lagi, Nahi Yahan Tera Koi Sarmaya.
Dard Kya Hota Hai Batayenge Kisi Roz,
Kamal Ki Ye Ghazal Sunayenge Kisi Roz.
Udne Do In Parindo Ko Azad Fizaon Mein.
Jo Mere Hue To Lout Ke Ayenge Kisi Roz..
Faqt Dil Ko Yun Samjhana Aasan Nahi Hota,
Tute  Aayne Ko Yun Simtana Aasan Nahi Hota,
Tuta Hai Dil Mera Aasqye-E-Mohabbat Mein,
Aur Tute Hue Dil Ko Lagana Yun Aasan Nahi Hota.
Abb Tak To Akela Hi Chalta Raha Hoon Main,
Is Suni Raahon Pe Ek Humsafar Talashta Raha Hoon Main,
Pal Bhar Ka Saath To Mil Jata Hai Humein,
Umar Bhar Ka Saath Talashta  Raha Hoon Main.
Jo Mohabat-E-Fiqr Na Hoti, Haan Tumhe Bhul Jate Sanam,
Q Raaton Ki Nendo Ko Phir Apni Gawate Hum,
Raha Baaki Kya Aa Zara Mujh Mein To Dekh,
Ek Tera Chehra Jise Din Raat Aankho Mein Sazate Hai Hum.
Maine Tujhe Chaha, Ye Haqiqat Thi Hamari,
Tune Dil Yu Toda, Shayad Ye Fitrat Thi Tumhari,
Hum To Chahenge Bepanah, Ajj Bhi Kal Bhi Tumko,
Ab Apnaao Ya Thukrao, Ye Bhi Kismat Hai Hamari,
Dard-E-Dil Ka Har Manjar, Meri Khamoshi Baayan Karengi,
Mere Pyar Ki Wo Har Khushi, Tumhari Aankhe Baayan Karengi,
Kisi Ke Dil Ko Itna Bhi Na Tadpa “ay Dost”,
Ke Chhuti Jo Manzil Wo Rahe Baayan Karengi.
Har Ghadi Bas Tumhara Intzaar Hi Rehata Hai,
Na Jane Kab Aaogy Tum, Bas Dil Bekarar Hi Rahata Hai,
Kaun Sa Wo Hoga Pal A Rahe Mohabbat,
Dil Mera Palkein Bichhay Hi Rahata Hai.
Mujhe Sulane Ki Khatir Jab Raat Aati Hai,
Mein So Nahi Pata Yeh Raat Khud So Jati Hai.
Puchhne Par Dil Se Ye Aawaz Aati Hai,
Aaj Apne Pyaar Ko Yaad Karle, Ye Raat To Roz Aati Hai.
Zindagi Kuch Pal Ke Liye Thum Gayi,
Hum To Musafir The Aye Dost,
Kuch Pal Chale Lekin Beech Raste Mein Hath Chodh Gaye.