Friday, April 23, 2010


Cat-how old r u?
Elpht-5yr
Cat-but u luk big
Ept-i m a complan boy
Cat-i m 30 yr
Ept-bt u luk so smal
Cat-i m jhandu kesri jivan
Badti umr mano tham si jaye....

Life is just like a river. V r moving widout end. Nothing stays wid us. Wat remains wid us is the memories of sum people who touched us as friends.:-
Happiness is nt something u postpone 4 d future,
Bt Its something u design 4 d present.
Make each moment a happy one.
I jst did it by remembering u.
When you share yourself with others, Life begins to find its meaning, the time you touch the heart of others, its the moment you truly start living.
Kya Kahun Dard Mera Kya Hai,
Pyar Main To Khuda Bhi Ro Ro Ke Betha Hai,
Na Aas Lagao Uperwale Se Ke Mahobbat Ko Milye,
Kyun Ke Har Bar Wo Bewafai Se Dil Ko Tadpata Hai.
Kyon Ham Kisi Par Khud Se Jayda Bharosa Karte Hai,
Wo Hi Hamari Peeth Mein Khanjar Ghop Dete Hai,
Jab Udana Hi Tha Majak Jindgi Ka,
To Kyo Log Pyar Karne Ka Natak Kiya Karte Hai !!!
Tere Pyar Mein Duniya Ko Chhod Diya,
Tujhe Pane Ke Liye, Har Rishta Tod Diya,
Par Tune Kya Kiya Ai Bewafa,
Kisi Aur Ko Pane Ke Liye Mera Dil Tod Diya.
Jalim Zamaane Ki Be-Dardi Ne,
Hamein Bahut Rulaya Hai.
Jab Kabhi Hansne Ki Koshish Ki,
Aansuon Ka Hi Saath Paya Hai.
Zindagi Se Apna Har Dard Chhupa Lena,
Khusi Na Sahi Gam Gale Laga Lena,
Koi Kahe Mahobbat Aasan Hai,
To Use Mera Tuta Dil Dikha Dena.
Tum Jaane Ki Baat Mat Kehna,
Meri Jaan Pe Ban Aayegi.
Tum Ye Jaan Khud Hi Le Lena.
Tumhare Kaam To Aayegi.
Humko Ab Bhi Unse Hi Pyar Hai,
Ankhon Mein Nami Aur Dil Mein Intjar Hai,
Laut Kar Ayega Wo Kabhi Na Kabhi,
Dil Ko Wafa Pe Itna Aitbar Hai.
Bheed Mein Tha Wo Naa Ro Saka Hoga,
Yakeen Hai Raaton Mein Naa So Saka Hoga,
Wo Shakhs Jise Samjhne Mein Umar Lagi Hame,
Hamse Bhichhad Ke Kisi Kaa Naa Ho Saka Hoga.
Khushi Chali Gayi Jis Din Gaye Tum Hamko Chhod Ke,
Hamse Bane Saare Gehre Rishton Se Naata Tod Ke,
Ab To Jindagi Mein Sirf Mout Aana Baaki Reh Gayi Hai,
Waise To Jindagi Kab Ki Chali Gayi Hamko Chhod Ke.
Khuda Ka Shukria Ada Karna Ebadat Hai,
Uske Bandon Ki Khidmat Bhi Ebadat Hai,
Nek Bandon Pe Khuda Ka Karam Hota Hai,
Bandon Se Be-Rukhi Khuda Se Adawat Hai.
Bewafai Na Kar Wafa Ki Had Bata Denge,
Hum Apne Ghamo Ko Shayari Me Bayan Kar Denge,
Har Lafz Mein Wo Dard Paida Karenge,
Ke Har Koi Hame Apna Banane Ke Liye Tadpenge.
Bewafa Se Dil Lagane Chale,
Pattar Se Dil Ko Hum Piglane Chale,
Toot Kar Bikhar Gaye Hum Tukdo Mein,
Pattaron Ke Shaher Me Kaanch Ka Ashiyana Jo Banane Chale.
Zindagi Ne Daga De Di Hai,
Kisi Ne Saza De Di Hai,
Pata Nahi Kya Hua Unhe,
Wo Bewafa Wafa De Gayi Hai.
Najane Aakhri Deedar Karne Kab Aao,
Kafan Se Isiliye Chehra Nikal Rakha Hai,
Khuda Ke Samne Bhi Tu Mukar Na Jaye Kahin,
Isiliye To Tera Khat Sambhaal Rakha Hai.
Distance Never Serperates Any Relation,
Time Never Build Any Relations,
If Feelings Are True From Heart,
Then Friends Are Always Friends For Ever.
Sabne Chaha Tha Ki Ham Na Mile,
Hamne Chaha Ki Usse Na Mile,
Agar Kushi Milti Hai Hamse Juda Hokar,
To Dua Hai Ki Usse Ham Na Mile.
Jis Aag Mein Log Hame Jlana Chahte Hai,
Uski Ham Din Raat Numaish Karte Hain,
Agar Chahte Hai Hame Jlana To Unhe Bhi Mom Banna Hoga,
Agar Main Jala To Mere Saath Hi Jalna Hoga.
Ee Khuda Sare Jaha Ka Durd Mujme Samaaya Hai,
Lagta Hai Tune Sabko Husakar Mujhe Rulaya Hai,
Na Jaane Kaun Sa Karj Mujpar Lagaya Hai,
Becheni, Tadap, Aakhen Viraan,
Buji Tamannao Ka Diya Jalaya Hai.
Wo Kehte Hain Humse Ki Majboor Hai Hum,
Na Chahte Hue Bhi Tumse Door Hai Hum,
Din Ka Chain Raaton Ki Neend Tak Uda Li,
Phir Bhi Kehte Hai Ki Beqasoor Hai Hum.
Itni Jaldi Kya Hai Mujhe Chhodne Ki,
Abhi To Had Baaqi Hai Mujhe Todne Ki,
Main Khilona Hoon Gum Na Kar Mere Tootne Ka,
Mill Jata Hai Naya, Zaroorat Nahin Mujhe Jodne Ki.
Apnon Ne Kabhi Hamen Apnaya Nahin,
Ghairon Ne Kabhi Hamen Bulaya Nahin,
Khushiyan Ghar Aayi To Log Aagaye,
Saath Yahaan Kisi Ne Nibhaya Nahin.
Pani Se Kahan Pyaas Bhujti Hai, Hum To Aansuon Ko Peete Hai,
Awaz Kahan Nikalti Hai, Hum To Siskiyon Mein Baatien Karte Hai,
Badhawash Hai Sare Pal Mere Iss Jahan Ke,
Mehfilon Mein Kahan, Hum To Tanhaiyon Mein Jiya Karte Hai.
Zindagi Main Yu To Sab Tha, Ek Tu Hi Nahi Tha,
Jab Tujhe Chaha To Ek Tuhi Tha, Aur Kuch Nahi Tha,
Tu Chla Gaya Samander Ki Lehro Ki Tarah Sab Kuch Saath Lekar,
Ab Zindagi Bhi Nahi Thi Aur Tu Bhi Nahi Tha.
Tod Na Saka Main Aansuon Se Nata,
Gamon Se Mera Kuch Vasta Hi Aisa Hai,
Khata Teri Gali Ke Pattharon Ki Nahin Dost,
Mere Muqudder Mein Kuchh Rasta Hi Aisa Hai.
Zindagi Aik Daud Ban Gayi Hai,
Yahaan Koi Apna Paraya Nahin.
Gar Ladkhada Ke Gir Gaye To,
Khud Uthna Hoga, Madad Koi Nahin.
Meri Duniya Mere Sapne Mere Armaan Tod Gaye,
Katl Kiya Mera Mujhe Bejaan Chod Gaye,
Gila Yeh Nahi Ke Tune Khanjar Dil Ke Paar Kiya,
Gila Yeh Hai Ke Wo Khanjar Tum Dil Ke Paar Chod Gaye.

Sunday, April 18, 2010

Ro-Ro Ke Kaati To Kya Zindagi Kaati,
Khud Jiye Na Auron Ko Chain Se Jeene Diya.
Ghamon Ko Hansi Ke Pyale Se Pee Jaao,
Chaand Ki Tarah Chamko Chandni Phelao.
Raat Ki Shruvat Neend Se Hoti Hai,
Neend Ki Shuruvat Sapno Se Hoti Hai,
Sapano Ki Shuruvat Apno Se Hoti Hai,
Apno Ki Shuruvat Aap Se Hoti Hai.
Aye Meri Jaan, Aye Meri Dilruba,
Kya Tune Kaha, Kya Maine Suna,
Jab Maine Tere Se Puchhi Bewafai Ki Wajah,
To Tune Kaha, “Main To Kar Rhi Thi Ek Awara Ashiq Se Tajurba”.
Taras Gaye Aapke Deedar Ko,
Phir Bhi Dil Aap Hi Ko Yaad Karta Hai,
Humse Khusnaseeb To Aapke Ghar Ka Aaina Hai,
Jo Har Roz Aapke Husn Ka Deedar Karta Hai.
Teri Lehrati Julfe Na Jane Kya Kehti Hai,
Teri Jhuki Najro Ko Dekh Kar Log Kya Kehte Hai,
Humne Suni Hai Aapki Tareef Apne Kaano Se,
Log To Aapko Tajmahal Kehte Hai.
Dosti Milti Hai Kismat Se,
Todo Na Ise Shano Shoukat Se,
Koi Na Jaane Aage Kya Ho,
Bacha Kar Rakho Ise Chahat Se.
Aye Dost Kabhi Humse Rutha Na Karna,
Bhule Se Bhi Hame Bhulaya Na Karna,
Gar Puche Zamana Kurbani Sache Dost Ki,
To Rakh Ke Apna Haath Mere Khande Pe,
Faqr Se Aage Bada Diya Karna.
Aadhi Zindagi Tujhe Paane Ki,
Tamanna Mein Nikal Gayi.
Ab Har Saans Fikarmand Hai Kaheen,
Ye Saath Chhoot Na Jaye.
Hamein Teri Yaad Kis Kadar Aati Hai,
Kahate-Kahate Saans Ukhad Jaati Hai.
Aansuon Ka Silsila Shuru Hota Hai,
Saawan Jaan Ke Papiha Shor Karta Hai.
Aai Zindagi Mujhse U Daga Na Kar,
Mai Zinda Rahu Ye Dua Na Kar,
Koi Dekhta Hai Tumhe To Mujhe Hoti Hai Jalan,
Aai Hawa Tu Bhi Use Chuwa Na Kar.
Chaand Be-Panaah Khoobsoorat Hai,
Chaandni Ka Maza Liya Keejiye.
Apne Naseeb Mein Jo Dharti Hai,
Bas Esi Se Guzar-Basar Keejiye.
Hum Rishta Kisi Se Joda Nahi Karte,
Dil Lagakar Use Toda Nahi Karte,
Wo To Aap Thi Jise Hum Dekthe Rah Gaye,
Warna Hum Bagiche Ka Phool Toda Nahi Karte.
Mera Dil Bhi Tum Ho, Meri Jaan Bhi Tum Ho.
Mere Zinda Rahene Ka Akhari Armaan Bhi Tum Ho,
Kaise Guzrega Zindagi Ka Har Ek Lamha,
Kyonki Mera Har Ek Naya Saal Bhi Tum Ho.
Ranjha To Main Bhi Ban Sakta Tha,
Magar Koi Heer Na Mili.
Sach Poocho To Yaron Mujhe,
Ranjhe Jaisi Takdeer Na Mili.
Thi Woh Koi Ladki Ya Thi Woh Koi Bala,
Dil Uski Khoobsoorti Mein Toh Hai Bas Dhala,
Kuch Lamho Ke Deedar Ke Aage Na Ye Dil Chala,
Jaise Hua Koi Jadoo Ya Dikhayi Kisi Ne Kala.
Insaan Ka Janam Liya Par,
Insaniyat Naam Ko Nahin.
Koyal Kis Kaam Ki Agar,
Uske Muh Mein Jabaan Nahin.
Aakash Ke Taro Mein Khoya Hai Jahan Sara,
Un Taaro Mein Lagta Hai Chand Pyara,
Ek Ek Tara Us Chaand Ke Liye Tutta Hai,
Par Woh Chaand Hai Jo Subha Ke Suraj Ke Liye Hi Bujhta Hai.
Aapke Aane Se Khil Gaya Hai Aangan,
Aaapke Saath Se Jhoom Untha Hai Gagan,
Aap Ho Isiliye Khush Hai Sara Chaman,
Aur Aapse Pyar Karne Ko Hum Lenge Hazaron Janam.
Aise Kitne Naam Ginau Jo Gairon,
Ki Khatir Khud Barbaad Ho Gaye.
Aab Alam Ye Ki Log Khud Ki Khatir,
Auron Ko Barbaad Karne Lage Hain.
Hote Hain Dost Apne Se, Dekha Hai Humne,
Do Jism Ek Jaan Se, Suna Hai Humne,
Kya Kahein Agar Woh Hi Na Chahein,
Humein Apna Banana, Jo Chaha Tha Humne.
Dosti Ke Bagiche Mein Khila Hai Gulab,
Saath Unke Pura Hota Hai Dil Ka Har Khawab,
Khushi Ho Ya Gum Na Rakhte Hai Uska Hisab,
In Palo Ki Khushboo Toh Bas Lagti Hai Nayab.
Aapki Hasi Pe Chhidakte Hai Jaan,
Aapki Khushi Pe To Hai Sab Kuch Kurbaan,
Aapke Bin To Ye Jaha Lage Veeran,
Kyuki Aap Toh Ho Jaise Is Dil Ka Gulistaan.
Chand Ke Nikalne Se Dikhti Hai Aapki Jhalak,
Aap Samne Hote Ho Toh Na Jhapakti Hai Palak,
Aapke Aage Fiki Lagti Hai Hire Ki Chamak,
Aur Aapse He Toh Aati Hai Zindagi Mein Raunak.
Teri Tareef Mein Kya Likhu Ab,
Kitabo Mein Nhi Samata Hai,
Kehta Hai Dil Rone Ko,
Jab Samne Tu Aata Hai.
Aap Mein Kuch Baat Hai,
Aap Auron Se Kuch Khaas Hai,
Aapki Tareef Mein Kya Kahoon,
Aapke Aage Chand Ki Khoobsurti Bhi Bekar Hai.
Dil Ki Nahi Jaan Ki Jarurat Ho Tum,
Zami Ki Nahi Aasmaan Ki Inayat Ho Tum,
Aur Ab Hum Kya Aapki Tareef Kare,
Husn Ki Nahi Kayamat Ki Murat Ho Tum.
Aapke Deedar Ko Nikal Aaye Hai Taare,
Aapki Khushboo Se Chha Gayi Hai Bahare,
Aapke Saath Dikhte Hai Kuch Aise Nazare,
Ki Chhup Chhup Ke Chand Bhi Bas Aaphi Ko Nihare.

Saturday, April 17, 2010

Din Ki Ye Tapti Dhoop,
Us Par Ye Aapki Baatein Khoob,
Dil Se Muskurate Mere Mehboob,
Dekha Nahi Pehle Aapka Ye Sunehra Roop.
Hamne Har Ek Dost Ko Dil Me Bitha Ke Rakha Hai,
Na Kisi Ko Bura Samjha Hai,
Na Kisiko Jhuta Samjha Hai,
Hamne Tume Ek Acha Dost Bolke Samjha Hai,
Hamne Tumko Dil Me Sajake Rakha Hai.
Woh Aapka Palke Jhuka Ke Muskurana,
Woh Aapka Nazarein Jhuka Ke Sharmana,
Waise Aapko Pata Hai Ya Nahi Hume Pata Nahi,
Par Is Dil Ko Mil Gaya Hai Uska Nazarana.
Mere Khwabon Ki Malika Hai Tu,
Na Tujhme Kahin Koi Kami Hogi,
Jo Na Bhi Hua Tere Pass Koi,
Roop Ka Khazana Toh Kya,
Hai Yekeen Ye Mujhe,
Dil Ki Tu Sabse Haseen Hogi.
Aapko Dekhar Aati Hai Baharein,
Aapko Dekhkar Chhate Hai Sitare,
Aap Hi Ko Dekhkar Khil Jate Hai Phool,
Lagta Hai Aapko Banane Mein,
Nahi Hui Rab Se Thodi Si Bhi Bhool.
Tu Salamat Rahe Yehi Duwa Hai Hamari,
Dosti Ke Liye Sochna Aadat Hai Hamari,
Kabi Musibat Na Aye Dost Tujh Par,
Yahi Harpal Dil Se Duwa Hai Hamari.
Hum Apni Dosti Ko Yaadon Mein Sajayenge,
Door Rehkar Bhi Band Ankhon Mein Nazar Ayenge,
Hum Koi Waqt Nahi Jo Beet Jaayenge,
Jab Yaad Karoge Tab Chale Aayenge.
Dard Dil Ka Batayen Kaise,
Jakham Dil Ka Dikhayen Kaise,
Sukh Gaye Hai Aansu Bahayen Kaise,
Wo Befawa Hai Dil Ko Samjhayen Kaise.
Kuch To Tha Ki Jindgi Khubsurat Lagti Thi Kabhi,
Ab Tere Bagair Dil Main Chirag Jalte Nahi,
Aaj Bhi Peete Hai Be Sudh Hoke Hum,
Pehle Sambhal Jate The Ab Sambhalte Nahi.
Tu Chali Gayi Duniya Se Meri Iss Baat Ka Gam Nahi Hai Mujhe,
Jyada Khush Hai Tu Pehle Se Iss Baat Ki Khushi Hai Mujhe,
Magar Dil Se Gujarish Hai Sanam Mere Gaur Farmana,
Kabhi Aansu Na Bahana Yaad Karke Mujhe.
Mera Naam Likh Kar Mitate Kyo Ho,
Mujhe Yaad Kar Key Bhulate Kyo Ho,
Kahti Ho Ki Mujhse Mohabbat Nahi,
Chupke Se Ashu Bahate Kyo Ho.
Dil Ke Sager Main Tammannao Ki,
Kashti Hamne Kai Bar Utaari Hai,
Kabhi Habeeb Nahi Milte Kabhi,
Rakeeb Mil Jaate Hai,
Talash Toh Ham Sahil Ki Karte Hai,
Toofano Se Hamare Naseeb Mil Jaate Hai.
Jeete Ji Teri Zindgi Bana Dunga,
Tera Naam Aasmaan Ki Uchaio Per Chamka Dunga,
Gum Na Karna Agar Mar Bhi Jaaou Mein,
Uper Jaakar Bhi Khuda Se Teri Khushi Manguga.
Mohabbat Ki Talash Main Aksar Main,
Tere Dar Pe Sajde Karta Hun,
Par Iss Kadar Hai Pathar Dil Sanam,
Mera Ki Koi Dua Kabool Nahi Hoti.
Tujhe Jaate Hue Dekh Ke,
Aisa Mehsoos Kar Rahaa Hoon.
Jaise Apne Hi Chiraag Se,
Mahroom Kar Diya Gayaa Hoon.
Bidaai Ki Ess Be-Basi Mein,
Lafzon Ke Moti Kahaan Se Laaun.
Ashkon Ka Haar Tyyaar Hai,
Kaho To Use Hi Saath Le Aaun.
Daagdaaron Ki Basti Mein Daag Hi Achchhe Hain,
Be-Daag Log Kahalate Akal Ke Kachche Hain,
Maayen Bachchon Ke Maathe Pe Kaalaa Lagaa Ke,
Kahen Buri Nazar Se To Ye Daag Hi Achchhe Hain.
Hunme Chaaha Tumhe, Humne Pooja Tumhe,
Aur Tumne Chaah Se Na Kabhi Dekha Hume,
Tum Apne The Fir Bhi Begaane Rahe,
Hum Begaane The Fir Bhi Tumhare Rahe.
Chaahenge Umar Bhar Hum Subah Sham Tumko,
Humne Bana Liya Hai Dil Ka Arman Tumko,
Mere Siva Kisi Par Nazarein-Karam Na Karna,
Sitam Koi Karna Bas Ye Sitam Na Karna,
Apne Dil Se Ye Pyar Kam Na Karna.
Dekha Hai Jabse Tumko, Mera Dil Nahi Hai Basmein,
Jee Chaahe Aaj Tod Doon Dunia Ki Saari Rasmein,
Tera Haath Chaahta Hoon, Tera Saath Chaahta Hoon,
Baahon Mein Teri Rehna Main Din Raat Chaahta Hoon.
Naddan Hai Voh, Hairan Hai Voh,
Khud Apne Hi Sawalon Se, Pareshaan Hai Voh,
Kya Bataun Unhe, Ki Pyar Kya Hota Hai,
Abhi Sacchi Mohabbat Se, Anjaan Hai Voh.
Kho Na Jayein Aap Duniya Ki Bheed Mein,
Isliye Dil Mein Chhupakar Rakhta Hoon,
Tumko Lage Na Kisi Ki Boori Nazar,
Isliye Ankhon Mein Basakar Rakhta Hoon.
Sookhe Darakhton Pe Bhi Parinde Hote Hain,
Ham Sayadar Hain Par Akele Hote Hain,
Chaahat Pana To Mukaddron Ka Khel Hai,
Hum To Khwaabon Mein Bhi Akele Hote Hain.
Pyaar Ki Rasm Nibha Di Humne,
Apni Hasti Jo Mita Di Humne,
Humko Khusi Na Mili Kabhi,
Shama Ki Tarah Zindagi Jala Di Humne.

Wednesday, April 14, 2010

Din beet jate hain yaaden bankar,
baatein rah jati hain kahani bankar,
aap hamesha rahoge is dil ke kareeb,
kabhi chehre ki muskaan to kabhi aankhon mein paani bankar.
Zindagi ki raahon mein bahut se yaar milenge,
hum kya humse bhi acchhe hazaar milenge,
in acchho mein hame na bhula dena,
kyunki hum bhi kahan aapko baar-baar milenge.
Wo baat kya kare jiski khabar hi na ho,
wo dua hi kya kare jiska asar hi na ho,
kaise kah doon ki aapko lag jaye meri umar,
kya pata agle pal meri umar hi na ho.
Love and blood have 1 difference. Blood enters the heart and flow out but love enters the heart and stay inside forever.
God picked up a flower and dipped it in a dew, lovingly touched it which turned in to you and he gifted to me and said, 'this is for you'
I wrote on the door of my heart, 'Please do not enter'
but your friendship came with a smile and said, 'sorry i am illiterate'
Yun to khamosh hi rahti hain aankhen,
magar samajh sako to bahut kuch kahti hain aankhen,
kaun kahta hai roti hain aankhen,
rota to dil hai magar bahti hain aankhen.
Hamari khamoshi hamari aahat hai,
hamari aankhen hamari chahat hai,
hamari jindagi jo itni khubsurat hai,
uski wajah to bas aapki muskurahat hai.
Every life in this world is written by God's own sweet hands that's why i am thankful because when he wrote my life, he included you too as a lovely part of my life.
For everyone there is a certain someone who makes the grey sky appear blue. I'm glad to say that mine one is you. My dear love you.
Na mujhe kisi ka dil chahiye, na mujhe jamane se koi aas hai, jo apna samajh ke apni girlfriend ki pappi dilwa de  bas aise dost ki talaash hai.
Barish mein hum pani banke bah jayenge,
patjhad mein hum patte banke bikhar jayenge,
kya hua jo hum aaj aapko tang karte hain,
kuch din mein aap in lamho ko taras jayenge.
Why people love heaven?
for peace
why people love birds?
for singing
why people love flowers?
for beauty
why i love you?
because you are my heart.
A great scholar once said, 'the real problem doesn't start when a boy starts looking a girl. It begins when she turns back and gives a smile.'
The sun rises into the sky with the warmest smile, he wishes you a good morning, hoping that you have a perfect day. Good morning.

Tuesday, April 13, 2010

You are like a sweet fragrance of sweet roses. Your presence makes everything smiling. Near or far wherever you are, always safe in my heart.
Fulon ki mahak ko churaye to kaise,
suraj ki kirano ko mitaye to kaise,
aap aur humme chahe kitne fasle ho,
lekin hum aap jaise dost ko bhulaye to kaise.
Being near is not the meaning of being dear. I may be far from you but my messages are bridges to make you feel that i always remember you.

Sunday, April 11, 2010

Kisi Ko Paas Aane Mein Waqt Lagta Hai,
Kisi Ko Apna Banane Mein Waqt Lagta Hai,
Jab Manga Khuda Se Apko,
Usne Kaha “Anmol Cheez Pane Mein Waqt Lagta Hai”.
Kinaro Par Sagar Ke Khazane Nahi Aate,
Phir Jivan Me Dost Purane Nahi Aate,
Jee Lo In Palon Ko Has Ke Janaab,
Fir Laut Ke Dosti Ke Zamane Nahi Aate.
Hasne Se Kabhi Khushi Nai Hoti,
Jeene Se Kabi Zindagi Nai Hoti,
Apno Se Zayda Khyal Rakhna Padta Hai Dost Ka,
Dost Kehne Se Dosti Nahi Hoti.
Tum Ko Kya Pata Ki Tumko Kitna Chaahta Hun,
Tum Ko Kya Pata Ki Mai Tumpe Kitna Marta Hun,
Bas Ek Hi Gujarish He Meri Tum Se Meri Dost,
Ye Dil Ki Baat Tum Se Kahene Mein Bahot Darta Hun.
Andhere Ne Kabhi Roshni Nahi Dekhi,
Maut Ne Kabhi Zindagi Nahi Dekhi,
Jo Kehte Hai Mit Jati Hai Duriyon Se Dosti,
Unhone Shayad Hamari Dosti Nahi Dekhi.
Khamoshiyon Mein Ek Ada Itni Pyari Lagi,
Aapki Dosti Hume Sabse Nyari Lagi,
Ye Na Tute Kabhi Yahi Dua Hai Meri,
Kyoki Duniya Mein Ek Yahi Cheej Hume Hamari Lagi.
Unki Ankhon Se Kash Koi Ishara To Hota,
Kuch Mere Jeene Ka Sahara To Hota,
Tod Dete Hum Har Rasm Zamane Ki,
Ek Baar Hi Sahi Usne Pukara To Hota.
Apni Bebasi Par Aaj Rona Aaya Hai,
Dusro Ko Kya, Maine Khud Ko Aajmaaya Hai,
Har Ek Ki Tanhai Dur Ki Hai Maine,
Per Khud Ko Har Mod Par Tanha Paya Hai.
Tere Kareeb Aana Chahta Hun,
Teri Julfon Ki Chhaon Main Sona Chahta Hun,
Teri Nazron Se Jam Pina Chahta Hun,
Tere Hontho Pe Apna Naam Lana Chahta Hun,
Tere  Hi Umeed Pe Hai Ye Meri Jindgi Tujhe Ye Batana Chahta Hun!
Tere Dard Ki Mein Parchai Hun,
Tere Aasuon Ki Mein Gehrai Hun,
Kehta Hai Tu Mujhe Begana,
Mein To Teri Rooh Mein Samayi Hun.
Khushi Ke Ye Pal Aap Yu Hi Sambhale Rakhna,
Ye Kaliyon Se Pyari Muskan Yu Hi Khilaye Rakhna,
Pyar Ki Yeh Mehfil Yu Hi Sajaye Rakhna,
Aur Dosti Ki Ye Khushboo Yu Hi Mehkaye Rakhna.
Apke Chehre Per Muskurahat Saje Aise,
Pholon Per Shabnam Chamakti Hai Jaise,
Sapne Poore Hon Aap Ke Saare,
Dua Hai Meri Yeh Lafz Aap Ki Zindgi Ko Nikhare.
Ek Se Ek Shararat Aapki,
Dil Khush Kar Dene Ki Aadat Apki,
Hum Rahe Na Rahe Apke Is Jahan Me,
Yeh Dua Hai Ki,
Salamat Rahe Hamesha Ye Muskurahat Aapki.
Ek Khubsurat Si Shaam Jaise Hote Hai,
Azmaat Ke Unche Mukaam Jaise Hote Hai,
Banke Kiran Woh Bikherte Hai Roshni,
Kuchh Log Apne Hi Naam Jaise Hote Hai.
Hum Ankhon Ko Phool Aur Hathon Ko Kamaal Kehte Hain,
Jaisi Mehfil Ho Waisi Hum Gazal Kehte Hain,
Hum Mehfil Me Jaya Nahi Karte Par,
Hum Jahan Hon Use Log Mehfil Kaha Karte Hain.
Ye Azeez Tohafa Hai Unka Hi Bakhsha,
Jo Ankhon Men Meri Pani Hai,
Mera Derd Hi Meri Mohabbat Ki Akhiri Nishani Hai,
Badnam Mat Karo Meri Bewafa Heer Ko,
Uski Bewafai Mein Mere Pyar Ki Kahani Hai.
Mita Kar Kisi Ka Ashiyan Ghar Apna Main Bana Nahin Sakta,
Deke Dard Apna Kisi Ko Main Rula Nahin Sakta.
Chhod Do Ab Mere Hal Per Mujhjko,
Bojh Ehsanon Ka Aur Main Utha Nahin Sakta.
Tohmatein Meri Mohabbat Pe Lagane Wale,
Aaina Dikhate Hai Khud Aaina Dekhne Wale,
Meri Maan Ki Duaaon Ka Asar Hai Mere Upar,
Warna Har Kadam Baithe Hai Mujhe Girane Wale.
Jinke Liye Jaan Bhi Hum Dete Hain,
Tohafe Mein Sangdil Vo Gam Dete Hain.
Rote Huye Aur Bhi Lagte Ho Khoobsoorat,
Ye Kahker Ke Zalim Vo Zakhm Dete Hain.
Koi Dil Bhi Jalaye To Kya Raushni Ke Kam Aayega,
Dard-E-Dil Bhi Ye ‘Sahil’ Teri Shayri Ke Kam Aayega.
Manker Ye Khwaish Chhod Do Uski,
Jo Tera Na Ho Saka Kisi Ke Kam Aayega.
Main Ye Nahi Kehta Ki Dost Mat Banao,
Par Apni Us Dosti Mein Khud Ko Naa Bhul Jao,
Mil Jayega Dhoka Jaane Kis Raah Pe,
Isliye Ae Dost, Dost Apni Ruh Ko Banao.
Phool Khilkar Udaas Hai,
Samandar Ko Aaj Paani Ki Pyaas Hai,
Ek Baar Aap Muskura Do Sanam,
Kyonki Khuda Ko Duniya Ki,
Sabse “Khubsoorat” Hansi Ki Talaash Hai.
Far away but always near, I hold your relationship very dear, sometimes lonely but never apart, as a love you are always in my heart.
Aapki dosti e hame kuch sikha diya,
khamosh duniya ne khushiyon ko bikhra diya,
karjdaar ho gaye hum us khuda ke,
jisne aapko hamara dost bana diya.
Ruthne ka haq aap rakhte hain,
manane ki chahat hum rakhte hain,
aapke honthon par muskurahat yun hi bane rahe,
yahi dua rab se hum roz karte hain.
When you were born there were heavy rains. you know why? Because sky cry for loosing a cute star and i m lucky to have that star as my love.
Chaand sirf ek hai laakhon taaron ke liye,
laakhon taare hai ek chaand ke liye,
hamare jaise laakhon honge aapke liye,
par aap laakhon mein ek hain hamare liye.
There is no good and bad in this world but thinking make it so... what people call 'suffocation' in the local train becomes 'atmosphere' in the night club.
Har ashq ka matlab gam nahi hota,
dooriyon se pyar kam nahi hota,
waqt bewaqt ho jati hai aankhen nam,
kyunki yaadon ka koi mausam nahi hota.
Bikhre rishto ko koi roop de do,
khilte phulon ko dhoop de do,
aapki yaad aayi to sms kiya humne,
aap bhi hamari yaad aane ka koi saboot de do.
Likhne wale ek ehsaan likh de,
mere pyar ki taqdir mein ek aur muskaan likh de,
na mile kabhi dard usko,
tu chahe to uski kismat mein meri jaan likh de.
What is the most elastic element of this world?
Its time.
It maximises the minutes when you are missing someone and minimises the hours when you are with someone.
Kuch naksh dil se mitaye nahi jate,
kuch log asani se bhulaye nahi jate,
kitne ajeeb hote hain dil ke mamle,
mehsus to kiye jaate hain par bataye nahi jate.
Aaj nahi to kal dost pe aitbaar hoga,
patthar ke dil ko bhi mom se pyar hoga,
ja mere sms mere pyare dost ko mil,
usko shayad mere sms ka intezar hoga.
Wellwisher is not who meets and talks with you everyday,
but wellwisher is one who may or may not meet you but always think of you.
Vada hai aapki dosti khaas rahegi,
Yaadon ki jhalak dil ke paas rahegi,
Nahin bhulayenge aapko aur aapke pyaar ko,
jab tak hamari saans chalegi.

Friday, April 9, 2010

Dua mile bando se,
saath mile apno se,
khushiyan mile jag se,
rahmat mile rab se,
pyaar mile sabse,
yahi dua hai rabse ki khush rahe aap humse.
Aapki kami se dil mera udas hai,
par mujhe to aapse milne ki aas hai,
zakhm nahi par dard ka ehsaas hai,
aisa lagta hai dil ka ek tukda aapke paas hai.
Care and affection is not a business, where you give and get,
it is a beautiful feeling for someone where you love to give, even if you don't get.
We live in are dreams, but dreams may die, don't get shattered, never ever cry, the world is big and has lots to give, pick up a new dream, thats the way to live.
Adhura hai aasma sitaron ke bina,
adhura hai samandar kinaro ke bina,
adhuri hai fiza baharo ke bina,
aur adhuri hai ye zindagi aapke bina.
Dost jab bhi tu udas hoga,
mera khyaal tere aas paas hoga,
dil ki gahraiyon se jab bhi yaad karoge hame,
tumhe hamesha hamare kareeb hone ka ehsaas hoga.
Chirago ka kya hai ye to jalte rahenge,
gulaabo ka kya hai ye to khilte rahenge,
ye mat sochna ke hum nahi hain aapke paas,
banke hawa har pal aapse milte rahenge.